Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2020

Tum.. Zindagi ho

Haan...   Meri jaan tum zindagi ho..  Is zindagi me tumse door jakar kya hi mil jayega mujhe?  Me khud ko bhi kho dungi. Tujhme dil dhadakta hai, un masoom si shaitaniyon ka.  Jinhe dekhar baarish dheemi ho jaya karti hai. Pta hai kyu?  Taki tumhe gale lga kar wo bhi sukoon se ro sake. Kyuki tum sukoon ho. Tumhe ehsaas nahi, bepanaah si us mohabbat ka. Jo tumhare siva sabko dikhayi deti hai. Sabko un khwabo ki kashish dikhayi deti hai. Tumhe pta hai? Tum pyaar ho! Haan meri jaan, tum pyaar ho.  Wo pyaar jo thoda sa sakht hai kintu behisaab hai  Beyhad hai.  Tum guroor ho;  Apne mata pita ka. Apne guru ka.  Tum kashish ho. Tum chahat ho Un pyare se rishto ki,  jinhe tum apne dil ke kareeb rkhte ho.  Or...  Shayad kisi ka armaan ho. Haan..  shayad!  :) - Zindagi! 

Tumhe pta hai kya...

Zindagi me phli dafa ek khwab sajaya tha.  Kisi ke kareeb jana chaha tha use apna bnaya tha.  Sare rishton se pare ek masoom sa saya tha.  Humari dosti bhi nahi hui thi or mera dil usne dhadkaya tha.  Aankho mein kuch khwab use dekh kar sajaye the.  Use apni zindagi ke sare raaz bhi nai btaye the.  Doob jaya karti thi uski aankho ki gehraiyon me.  Sukoon sa milta tha uski sunayi kahaniyon me. Uske lafzo se apna naam sun'ne ka khwab bhi sajaya tha.  Apni hi galtiyon se us pyaar ka dil ka dil dukhaya tha.  Wo mehak vishwas ki uda di mene.  Apne hi khwabo ka mehal gira diya mene.  Ab yakeen use dilana bhi mumkin nahi lagta.  Tumhare jitna kareeb aaungi tumhara dil hi to dukhaungi.  Behtar hai mera tumse door chale jana.  Kabhi na sach hone wale khwab ko fir bhi apni palko pe sajaana.  Ye wo kabhi naa mukammal hone wali kahani hai jiske masoom se ehsaas ne phli baar anjane hi mere dil me jagah bnayi thi. I know one thing very well that there's nothing exists in this wor