Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2020

The Uncertainties Of Life.

Jane kitni baatein reh jayengi tumse kehne ko.  Wo ruthne ka kissa jab yun tham jayega Kise manoge, yun chidhaoge? Jab naa rahe mera zindagi se koi vasta Yakeen rakhna, yaadein sougat me dekar jaungi.  Apni sari kahi unkahi shayad kaheen likh kar rakh jaungi. Jab wo sard hawayein pareshan kar tujhe sataengi. Us sard mausam ka gulabi noor bankar aaungi.  Me mar kar bhi shayad kaheen na kaheen teri khamishiyon me gunganuangi. Haan shayad...! 

The Endless Journey: Jab Naa Rahoon Mein Tumhe Pareshan Karne Ko.

Jab na rahoon me yun waqt be waqt tumhe pareshan karne ko Yun udaas mat hona. Jab na rahoon yun bewajah si khwahishon ko lekar zid karne ko Kisi apne me shamil kar lena mujhe. Ek yaad ki tarah bhool jana, agar me bar bar dastak doon tumhare tasavvur me.  Gar na rahoon bina sir pair ki batein karne ko, tum sun lena kabhi apne aap ki Mere sath rehkar itni bakwas sunne ki aadat to ho hi gayi hogi. :D Wo rato ko bewajah pagal se khwab me you dar kar cheekhna mera; shayad aakhiri si pareshani ban jaun jane anjane. Tum mujh par us waqt gussa mat hona.  Jab yun man ki tarange apne rang badlengi ho sakta hai mere rang badalte jazbaat kuch ajeeb lagein tumhein.  Us nazuk se mod par mera hath jor se tham lena.  Ek zamane se apne khwabo ke piche bhagte bhagte thak si gayi hoon.  Me naa bhi rahoon to tum kabhi mat rukna.  Mere khwabo / khwahishon ko yun hi zinda rakhna.  Is tarah shayad me bhi kisi khwab ki tarah saansein leti rahoongi;  or kisi anjaani si dhadkan ki tarah dhadakti rahoongi.  Har